Tuesday, April 10, 2007

*kuch* poem ...

read somewhere, edited slightly...

Honthon pe mohabbat k fasaane nahi aate,
dil ko rone ke bahane nahi aate,

Palkein bhi chamak uthti hai soti mein hamari,
Aankhon ko abhi khawab chhupane nahi aate,

Dil ujdi hui ek saraaye ki tarha hai,
Ab log yaha raat jagane nahi aate

Yaaron naye mousam ne ye ehsaan kiya hai,
Ab yaad samjhe dard purane nahi aate

Udne do parindo ko abhi shokh hawa mein,
Phir lout k purane zamane nahi aate

Is shehar k badal teri zulfon ki tarha hai,
Ye aag lagate hai bujhane nahi aate....